Thursday, October 28, 2010

Dil tarasta hai ab, zindagi ke liye

Ek khalish dil ki, kya se kya kar gayi,
khushiyon ki aankh mein baarishen bhar gayi,
log apno se bhi bekhabar ho gaye, khushboen chool ke shok mein kho gaye,
khushboen chool ke shok mein kho gaye…

Pak jugna zara roshni ke liye,
Dil tarasta hai ab zindagi ke liye…

Surk phoolon ke jo narm saye mile, apno ki shakl mein jo paraye mile…
Surk phoolon ke jo narm saye mile, apno ki shakl mein jo paraye mile…
inke peeche zara sochke bhagiye, kachche rangon ki hai titliya dekhiye,
kachche rangon ki hai titliya dekhiye…

Ek pal hi mila tha khushi ke liye
Dil tarasta hai ab zindagi ke liye…

Ek khwaish mein thee sekdon aandhiyan, pal mein bhikre sabhi rishton ke ashiyan.
Ek khwaish mein thee sekdon aandhiyan, pal mein bhikre sabhi rishton ke ashiyan.
pyase lab ka yahi sabko haasil mila, justjoo dariya thee khusk sahil mila…
justjoo dariya thee khusk sahil mila.

Khoke neende kisi ajnabee ke liye,
Dil tarasta hai ab zindagi ke liye…


Until next time…

2 comments:

cooldivay said...

Good to see someone following Mehndi Hasan :)

I hope u r just enjoying the Ghazal and no actually living its way ?

cute n confused said...

i think this is a jagjit singh ghazal.. from the movie STOP...